Wednesday, 25 January 2017

Mout ya Islam lane se Gusul kya wajib hai

Bismillah Hir Rahman Nir Rahim (In the name of Allah, the most Gracious, the most Merciful)
Assalam O Alaikum warahmatullahi wabarkatahu (May Allah peace and mercy be upon us)
In shah allah aaj hum janne ki koshish karenge is Post se ki Mout ya Islam lane par Gusul kyu hai or is baat ka ilm lene ki koshish karenge Allah subhan wa taala ki madad se wahi rabbul aalemeen hai jo hum ye kar pate hai uski madad ke bina kuch bhi nahi hota allah hume ilm se nabaje "Rabbe Zidna ilma"
"Mout ya Islam lane se Gusul"
Is se muraad ye hai ke Zindo par wajib hai ke Murdo ko Gusul de or aisi tamaam ah hadeesh jin mein Mayyat ko Gusul dena ka huqm hai is ke daleel ye hai.
Hazrat Ibne Abbas radi allah anho se marwi hai ke pyare Nabi Sallallaho alai wasallam ne Farmaya : Ise (Mayyat) paani or Bairi ke patto ke sath Gusul do.
[Sahih Bukhari, Hadeesh No. 1849]
[Sahih Muslim, Hadeesh No. 2092]
"Imaam Nawwi rahmat ullah alai ki daleel :Gusul Mayyat ke Wajoob par Ijma hai"
[Al-Majmoa, 5/128]
Ye to hua mayyat ke talluk se Gusul ki ek daleel is par hadeesh to alhumdulillah bahoot hai or is par sab ka ijma bhi hai alhumdulillah or aye aab dekh lete hai kuch hadeesh Islam lane ke talluq se.
Hazrat Qais bin Aasim radi allah anho se marwi hai ke Nabi akram sallallaho alai wasallam ke paas Islam lane ke irade se gaya To aap sallallaho alai wasallam ne mujhe Paani (Water) or bairi ke patto ke sath Gusul karne ka huqm diya.
[Sunan Abu Dawood, Hadeesh No.342, Hadeesh Sahih]
[Sunan Tirmizi, Hadeesh No. 605]
[Sunan Nasai, Hadeesh No. 109]
[Musnad Ahmad, Hadeesh No. 21]
[Ibne Khajemya, Hadeesh No. 204]
[Ibne Habban, Hadeesh No. 234]
Hazrat Abu Huraira radi allah anho se marwi hai ke Jab Hazrat Samama radi allah anho Musalman hue to Nabi akram sallallaho alai wasallam ne Farmaya : Is bano fala ke baag mein lejakar Gusul karne ka huqm do.
[Musnad Ahmad, Hadeesh No. 483, Hadeesh Sahih]
[Ibne Khajemya, Hadeesh No. 203]
[Ibne Habban, Hadeesh No. 1234]
[Behqi, Hadeesh No. 171]
Is Hadeesh ke asal Sahyyan mein hai lekin us mein Gusul ke Huqm ka jikr nahi balke Mujrad Hazrat Samama radi allah anho ke aj khud Gusul karne ka zikr hai.
[Sahih Bukhari, Hadeesh No. 462]
[Sahih Muslim, Hadeesh No. 1764]
4 Imamo ki ray :
(Ahmad bin hambal or Maalik) : Har Musalman hone wale shaksh par Gusul wajib hai. Imaam Ibne Manzar rahim ullah or Imaam Abu Soor rahim ullah ka bhi yahi mazhab hai.
(Imaam Abu Hanifa or Imaam Safaye) : Agar Insaan Janbi na ho to Gusu sirf Mustahab hai or Wajo bhi kefayat kar jayega.
[Al-Magni, 1/239]
[Al-Majmoa, 2/103]
[Nilul Awtaar, 1/238]

Magar sab se Rajay Qoul ye hai Ki Hadeesh aage gujri hai Alhumdulillah or hadeesh sab sahih sanad se moujood hai Ki Gusul ko Wajoob karar deta hai Humne 4 Imamo ka koul dene is liye munasib smjha ki baat saaf ho jaye Magar Aap sallallaho alai wasallam se saaf pata chalta hai ki Islam lane par Gusul wajib hai Gusul karna Aap sallallaho alai wasallam ki sunnato par amal karna hai yaha par hum aap sallallaho alai wasallam ki baat ko tarji denge alhumdulillah ki hadeesh wajah tour par bata rahi hai ki Gusul wajib hai jaisa ke aap s.a.w ne huqm diya hai. Ye to kuch baate isse talluk allah subhan wa taala se dua goo hu ki ay allah hum sabhi Musalman mein Ittehad paida karde or hum par jo Musibate hai use door kar de or hum par raham or karam ka mamla kar or Gaza ke Musalmano ki hefazat kar allah tujhe wasta hai tere 99 namo ka allah hum Musalmano ki Hefazat kar allah humare amal gande hum apas mein ladte hai magar allah hum tujhse tauba karte hai hume maaf farma ameen ya rabbal aalemeen

No comments:

Post a Comment